Ek "chabi" mili payari si
uchalti, phudakti, nachati, gaati si
itrati hai phulo ke keyari si
phene huye ek challa, jese chamakti bali si
hasti hai to khul jate hai sabhi taale
roti hai to band ho jate hai sabhi darwaje
payar se raktha hu apne paas
gum ho jaati hai to nahi le pata mein saas
Kush ho gaya hai dil uske ane se
abb nahi socchata zindagi ke bandh talo ke bare mein
bandh the jo darwaze sare
aas lagi hai ki khul jayege sare
nahi rah sakta uske bina ek pal
dil karta hai saat mein use le ke kahi chal
uski hasi hai sabse payari
muje mili hai wo hai meri chabi!
No comments:
Post a Comment